Teri Talaash

Monday, December 3, 2007

In anjaan raahon mein,
Bejaan fizaaon mein,
Yeh sehmi-sehmi si aankhein,
Na jaane kisey dhundh rahi hain…

Un beetein hue palon mein,
Chotti chotti si galiyon mein,
Har waqt ki aahat mein,
Na jaane kisey dhundh raha hoon main..

Iss lambey safar mein,
Shor ke beech sanaatein mein,
Kagaz aur syaahi ki uljhi hui baaton mein
Na jaane kisey dhundh raha hoon main..

Meri Sisakti hui in saanson mein,
Rooh ki pukaar mein,
Yeh khaamosh zubaani mein,
Na jaane kisey dhundh raha hoon main..

Chubti hui in aankhon mein,
Gunjhti hui in raaton mein,
Bheegi-bheegi si yeh palkein..
Na jaane, kyun niraash hoon main..

Tu shaayad yahi hain,
Yahin-Kahin hain…
Lekin mere paas toh koi bhi nahi.
Kahin mujh mein hi kho gaya hoon main..


Teri talaash abh bhi adhuri hain..
Na jaane kisey dhund raha hoon main.

-Ady

0 comments: